Is Qalam se Kya inquilab aaiga, Ye naqqashi ke wazan se daba hua hai !! Ye log hi logon ke dushman ban Gaye, Sahi galat ki hod me ye dost saare mit rahe !! Bahut chale kisse sharafat ke humaare, Ab kuch aaeb hain to ye bhi qubool Karle Jahan ye !! In imaarton se haseen to woh galiyan thi, tang thi par kiraaye ki nahi woh apni thi Kyu badnaam karte ho topi aur tilak ko, Jab saja rakkhi hai Dil mein nafrat ko, Koi mit Gaya tmhe milte hue dekhne ko, Zara yaad Karo us ahinsa ke #Gandhi ko !! Ye Chand Roz Jo Safar ke hain bade jaddojahad ke hain, samaan Kam aur khwaab Kai ye roz bade gajab ke hain !! Mai jugnuo ki mannind din ki jagmagahat mein Nazar nahi aaya, Raat hui to zamana khud mjhe dhoondhta Chala aaya !! Kuch mukhtasar si baat Hui aur neend gayi khwaab Gaye, Kuch aur jo guftgu hui to phir hasti gayi aur haal Gaye !! Hijaab utaara to utaara chalo kuch nahi hua, Bs haya sharam ne Bhi ab parda kar liya !! Zindagi ne peshani par saja rakkhi hain boo
Mutmain nahi Hun Abhi mai Meri zaat se, Kyun mjhe mjhse ruswa karne ki baat karte ho, Abhi khaaqa bhi nahi khincha Zindagi basar karne ka, Kyun mjhe meri ummid mein beqaraar karte ho ! --------------------------------------------------------------------- Is majme ki haqeeqat se Kya lena, Yahan ki har shai hi behaal Hai !! Mai soch raha tha mere muqaddar mein aage kya hoga, khwaab tha kabhi jo wo ab yaqeenan haqeeqat hi hoga || --------------------------------------------------------------------- Guzar jaane do ab har lmha ko, waqt kise ke mutabiq nahi hota, Azaad karo har awaargi ko, Safar kisi ki manzil nahi hota, Phisal jaane do ye toote khwaabon ko, Bistar kisi ka gharaunda nahi hota, Jo bhi Jaye use chale jaane do, Koi doosra apna Sahara mahi hota !! --------------------------------------------------------------------- waqt yun tez karwaten badal raha, mai hun ki ab bhi intezaar kar raha, takht par to shahnshah bhi badal gaye, mai ab bhi purane