Skip to main content

Mohd Nazar Mubeen - sher two liners


Is Qalam se Kya inquilab aaiga,
Ye naqqashi ke wazan se daba hua hai !!

Ye log hi logon ke dushman ban Gaye,
Sahi galat ki hod me ye dost saare mit rahe !!


Bahut chale kisse sharafat ke humaare,
Ab kuch aaeb hain to ye bhi qubool Karle Jahan ye !!


In imaarton se haseen to woh galiyan thi,
tang thi par kiraaye ki nahi woh apni thi


Kyu badnaam karte ho topi aur tilak ko,
Jab saja rakkhi hai Dil mein nafrat ko,

Koi mit Gaya tmhe milte hue dekhne ko,
Zara yaad Karo us ahinsa ke #Gandhi ko !!


Ye Chand Roz Jo Safar ke hain bade jaddojahad ke hain,
samaan Kam aur khwaab Kai ye roz bade gajab ke hain !!


Mai jugnuo ki mannind din ki jagmagahat mein Nazar nahi aaya,
Raat hui to zamana khud mjhe dhoondhta Chala aaya !!

Kuch mukhtasar si baat Hui aur neend gayi khwaab Gaye,
Kuch aur jo guftgu hui to phir hasti gayi aur haal Gaye !!

Hijaab utaara to utaara chalo kuch nahi hua,
Bs haya sharam ne Bhi ab parda kar liya !!

Zindagi ne peshani par saja rakkhi hain boonden,
Muntazir hum ki ye tapak kar kab zamindonz ho len !!

Main apni zaat se waqif hokar Bhi bhatakts raha,
Mustaqbil ki pareshaani mein bs ghutta raha !!

Meri Zindagi ke andaaze koi Kya lagaiga,
Ye bahut gahre raaz samete hue jiiti hai,

Koi aur Bhala Hume Kya batlayega,
Ye zeest hi Hume har hunar sikhla deti hai !!

Shaam raat se hote Hue subah ban gayi,
Neend bhi khwaab talashte-2 kho gayi !!


Mashriq aur maghrib ke darmayan kyun simat rahe ho,
Zara utho upar aur dekho ye Jahan Kuch bhi to nahi !!

woh aaye meri qabr tak bhi jab Kuch chaaha,
Maine chaaha to Meri laash bhi chor aaye

maine afsaane sunaye is bemurawwat duniya ke,
aur tmne ise meri zindagi ka vaqya samajh liya ||

In khushk aankhon me Kya paaoge,
Ye sookh gayin ab khwaab sanjote hue !!

Rishte kaanch ki manind Hain,
tootte Hain to phir Jud nahi paate !!

In bikhre tukdon mein kai aqs dikhte Hain,
Har aqs adhoora sa pure ki talab karta hai

Patthar par sar pathakhne se kya hoga,
Hunar hai to hathoda utha kar zara kuch tarashiye !!

Meri nawabi ke bhi alag andaaz Hain fahmi,
Jeben Khali Hain phir bhi log ummid liye phirte hain !!

Jab Dil ne chaaha to fiqr na mili,
Ab fiqr Hai bhi to Dil maanta nahi !!

kuch dair nahi agar pakad li hai aarzoo,
koi umr nahi wazay koi kaam nahi mushkil ||


Mai mutmain ho Gaya hun is andhi daud se,
Khandhak kahan Hai ab mjhe farq Kya isse !!

Zamane hue wo chiraag dekhe hue,
Jinki Lau mein me apna aqs dikhta tha,

Ye shandaar mahlon ki mahfilen Hain,
Jinme apne saaye bhi nazar nahi aate !!

Zaroor tmme hai koi baat nazar,
Warna har Shai ki nazar sirf tmpe kyun !!

Badalte zamane ki kahani kis syahi se likhen,
Kalam bekaar Hai aur dawaat bezaar !!

Lao ab utaar dein ye chola sharafat ka,
Haqeeqat tm bhi jaano aur hum bhi jaanen !!

zarooraton me kho kar khwaab bhool gaye,
waise zindagi mushkil to kabhi na thi ||

Kya nahi koi raah Jo Sach samjha de,
Jhoot par tahre tmhe sharam nahi aati !

Khwahish mayassar na thi to kitab le li,
kirdaron se hi humne Zindagi udhaar le li !!


Ye gahre sannaton mein siskiyun ki goonj kisi bheed ki mohtaj nahi !!

Ye sahar ki subah nahi to phir Shaam bhi nahi,
Abhi waqt Zara tham ke chal ye aghaaz Hai anjaam nahi !!

khaamakha hi faasle ban gaye,
yu hi nahi wo safar bahut mahnga pada ||

raaston se bhatke hue subah se shaam hui,
na manzil mili na hi koi raah yaad aayi ||


kitabon ke panne bahut kam palte the,
zindagi ne shauk se palatna sikha diya ||

tm na chorna ye zid tajassus ki,
Chaahe kitna bhi log makhual uda den !!

Mai ab bhi Teri shohrat ki raah dekhta Hoon,
Hai nahi koi baat tu agar girta bhi rahe,

Mai uth Kar khade hone ki adat ka kayal Hoon,
Hai nahi koi baat Jo tu haarta bhi rahe !!


khamosh sa sannata Hai aaj unhi galiyun mein,
Bachpan Jahan bahut shauk se bada hua tha !!

kisi ka haal bs itna hi hai janaab,
ek maazi hai , ek aaj aur ek kal ka nizaam ||

nahi dar zamane ka,
agar khuda ka saath hai,

galat nahi agar rab ki nazar mein,
to nahi koi gham ki baat hai ||

Mjhko khud ki Khabar mile bhi to Kaise,
Kisi ko Jab Meri Khabar nahi Hai !!

har shai maukaparast hai,
har wajood beimani hai,
aah me hanste hue ye chehre bhi,
kisi shaitaan ki nishani hai ||

Kisi ki nazar me ho Kuch bhi tm Kya farq padta Hai ,
Khud se nazaren milao kabhi jisne Sab Sach dekha Hai

Bahut mashgool Hai shahar apni aazmaish mein,
Koi Mar bhi Jaye to yahan uff nahi Hai

Haqeeqat me log ghabra jaate hain,
Tamshon ki inhe adat Jo ho gayi !!

Ye shohrat ke bhooke log,
Shohra ko hi nahi samajhte !!

Khud ko paak samjhta ek nasamajh Hai,
Aib khud mein Hai kahin aur duniya Kosta hai!

ye surat to khuda ki di hui hai ,
seerat hai jo humari apni hai ||

Waqt parda utha deta Hai har raaz se,
tmhari sharafat bhi kahin bs shor to nahi !!

Waqt to sab benaqaab Kar dega,
phir ye chupe hue par guroor kyun !!

Mai kab Tak haal lunga har Roz tmhara,
Kaash koi din aisa bhi ho aur tmhe Meri yaad aaye !!

Musafir kah Kar makhaul mat udao,
Mujhe bhi Meri Dahleez bahut pyari Hai !!

Shahar me lagi Hai mukhaoton ki bheed,
asli chehre kahin dubak se Gaye hain !!

Shahar me lagi Hai mukhaton ki bheed,
asli chehre kahin dubak Gaye hain,

Ye mohabbat ka izhar karne waale dikhawti hain,
Sache ashiq tadap mein kahin aur subak rahe Hain !!


Ye khwahishon ka Kya bs tadapti rahtin Hain,
Kasoor to Mera Hai Jo inhe panpane deta Hun

Unchi imarton ki kahani sacchi hi Nikli,
logon ki Jeben bhari Hain aur Dil Khali !!

Na maango mjhse Meri khwahish ki fehrist,
wo saari Maine dar mein ek Roz jala di,

Ab to bs ye jism hi bacha Hai,
Jalaana hi Hai to ye hi jala lo !!

yo jo tm hiqaarat ki nazron se dekhte ho,
koi tmse bhi afzal kahin baitha hai ||

mai apne halaat ka bezaar tha jo teri sohbat me aa gaya,
warna mere chahne waalon ki kami kabhi na thi ||

Kyun tamasha Kar rahe ek mujrim ke waaste,
Dekho Kisi apne ko insaaf bhi Mila Hai !!

khilaune taaq par rakkhe the wapas uthane ko,
masroof hue itne zamane mein ki bachpan bhool gaye ||

Duniya ki daud me itne gafil ho gaye,
kab raat subah se mili pata hi nahi chala!!

Jab sach tmhare gharon me chulhe jala Dega,
To Phir bazaar me matam kaun karega !!

Bazaar jab jhoot ka lag raha Hai,
to Sach bech Kar faaqa kyun karien !!

tm ab sawaal na karo ki kya hua tha,
jo hua tha usse koi anjaan to nahi ||

Meri kahani suna Kar tm to mashhoor ho Gaye,
Par mai iska kirdar aaj bhi tadap Raha Hun !!

socho to manzil bhi hai aur raahein bhi,
agar na socho to kahin kuch bhi nahi ||

nafs ka zor hi to hai insaan par,
jo dagar dagar phirta rahta hai,
agar chain dhhondhne ki baat hoti to ,
ghar se zyada sukoon khahan milta hai ||

Ye shahar dhuyen me lipta hua gut Raha pal pal,
Is saste nashe ki chah mein koi Mar raha har pal !!

Hazaron log Hain jaanne waale ,
Phir bhi ek pahchaan na mili,
Mili fursat bhi hume to ,
Kisi ko fursat nahi mili,
Ye Kya wajah Hai ? ye kyun Hai aisa ?
Milne ki Kisi ko mohlat to Kisi ko zarrorat na mili !!

Zindagi ko suljha lo waqt rahte ,
chaahe kitne bhi ulajhna pade usse pahle||

kya farq padta hai ki kaun ab saath hai,
jab mushkil hi humne akele me guazar di ||

tasveer bahut saaf thi kuch dair pahle hi,
in baarish ki boondon ne phir se ise dhundhla kar diya ||

bahut zaroori hota hai baton ko samajhna,
kya pata kab kaun aakar kya sawal pooch le ||

bewajah fiqr me badnaam ho gaye,
yun hi arsh se farsh tak dekhte dekhte ||


Koi thikana nahi bhatakte musafir ka,
Jidhar bhi roti mili wahin ka ho liya !!

tm unki watan parasti par sawaal karte ho ,
Jinhe watan se aage koi cheez nazar nahi aati !!

Samajh nahi aati humein watan parasti kyun,
Ye mohtaj nahi kisi saboot aur na kisi gawahi ki !!

Samajh nahi aati humein watanparasti kyun,
Ye Dil se Hoti Hai zinda dikhawe se nahi !!

Bahut gahre Hain zakhm doosron ki kamyabiyun ke,
Khuda ke saamne bhi haath utha dete Hain hasad ke maare log !!

Karna Hai Kuch to kar guzar Jao,
Halaaton ka dosh buzdil Diya karte hain !!

Ye Kya bahanon ki duniya Hai janàab,
log Wajahe badal dete Hain insaan dekhkar !!

Ye zaroori nahi ki har din ek tajurbe ke Saath guzre,
Kabhi kabhi Kuch na seekhna bhi ek seekh Hoti Hai !!

Mushkilen to bahut Hain izzat se jeene mein,
kitna bhi bacho koi kalikh uchaal hi jaata Hai !!


Bahut se khandaq biche Hain,
Bahut si azmaishen baaki Hain,
Ye duniya koi tohfa to nahi ,
Na koi ajr Hai Kisi baat Ka !!!


Bahut se khandaq biche Hain,
Bahut si azmaishen baaki Hain,
Ye duniya koi tohfa to nahi ,
Na koi ajr Hai Kisi baat Ka !!!



Mai khwaabon ko dhoondhne nikla tha waise,
Jaise registaan me koi paani ki talaash ko,

Har aqs mjhko dhoka Deta Tha,
Har manzil Mera mazaak udati thi !!

Jab waqt tha to thi qadr nahi,
Ab qadr Hai to waqt nahi ,
Ye ek tamashayi Zindagi Hai,
Apne gunaho ki buni hui !!



Bade haseen Hai ye tamasha Karne waale,
tamasha dikha kar Dil loot le jaate hain,
Wapas kiye hue tukdon ka faqeer Kya kare,
Ye gurbat ka aise hi mazaak banate hain !!

Duniya ko bada gumaan Hai apni haisiyat ko lekar,
Zikr Kisi ka bhi karo ... har koi shahnshah bana baitha Hai !!

Bade gaur se dekha aaj Shaam ko,
Bachpan kahin kho Gaya hai ismen !!

Yahan par tamashon ki chah Hai Charo taraf,
Haqeeqat me log ab bharose nahi karte,

Sharafat ka daur hota hoga kabhi barson pahle,
aaj log badtameezi ko hi adab maan baithe !!


Na Main apni fitrat se baaz aaya,
Na tmne bhi apni fitrat chori,
Ye Jung bs Yun hi lad li,
Na tera lahu aaya na Mera lahu aaya !!

Badi aas liye phirte ho madad ki,
Kya tmhare baazuon me ab dam nahi,
Kyun koi doosra tmhara hoga,
Jab tm Khud apne nahi,

kyun mayoos si shakal bana li Hai,
Kya Kisi ne tmhari himmat loot li,
Mushkil me aansu Yun to na bahao,
Mushkil koi humesha ki to nahi,

Jo tm ladoge aapas me hi,
Zaroor koi fayda uthayega,
Bhool jaoge jab apni pahchaan,
To zarror koi sawaal uthayega,

Yun na toot kar bhikar jao,
Bhikarna zaroori to nahi,
Waqt ke saath kyun na Saath ho jao,
Gile shikwe ki koi majboori to nahi,

Farq nahi hai Duniya ko koi zaat se tmhari ,
Tm ho hi alhad Jo iski uljhane liye phirte ho !!

Badi tabiyat se cheezen ikattha kar humne izzat kama li,
Ek waqt tha jab daad ilm aur insaniyat se hoti thi !!

Chand sikke dekh kar mukarte log yahan,
Ek jagah tikne ki aukaat ab kahan,

Tmne baarish ki Jo paison ki Hume zarrorat dikha kar,
Hum bhi baazar me bik aaye apna hunar manvakar,

Koi khuddar hi hoga Jo na bhatka ho,
Kisi cheez ki chaah me na uljha ho,

Koi Iman waala hi hoga sabr rakkhe,
In roshniyun se Jo na chaunka ho,

Har taraf ek hod lagi hai khanakne ki awaz ko lekar,
Jo kam khanka raha wo majboor ,Jo khanka gaya wo mazboot !!

Pareshani ke daur mustaqil ke nahi hote,
Waqt par mustaqbil badalta zaroor hai !

Koi mojza nahi hota haqeeqat e Zindagi mein,
Ek din ye jism bhi fana hoga aur rooh bhi azaad !!

Waqt nahi kisi tahraav ka qayal,
Ise bs Sabr aur himmat ki nazar chahiye !

Koi jirah nahi karna tmhari zindagi par humen,
tm apni jiye aur hum apni jeete rahe |

Mustaqbil ki fiqr ne bhatkaya bahut,
maazi aacha hua aur haal bekhauf ||

Siyasat ne rangwa di har ek Imarat ,
Jurm aur jirah bhi ab ek hi rang hai !


Comments

  1. 1xbet - Best Bet in 1xBet - Download or Install for Android
    1xbet febcasino is the www.jtmhub.com best betting app in the 바카라 사이트 world created for esports. It is a one https://vannienailor4166blog.blogspot.com/ of 1xbet korean the safest and most trusted names among players. It offers a user friendly interface

    ReplyDelete
  2. Some sheet metal is galvanized, which is the method of zinc coating that makes the metal immune to corrosion. high precision machining Perforated metal sheetwork is the cut-to-custom metal used to make ornamental grilles. The sample of a crafted metal sheet should be stunning, bringing delicate magnificence to a room and blending simply with surrounding options. You can buy one sheet or coil of perforated metal or hundreds — whatever your organization requires. Our inventory perforated metal is out there with round, square or slotted perforations and in various metal thicknesses. We additionally supply specialized perforated metal accessories for your custom wants.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mohd Nazar Mubeen - Nazms

Main gunahon se tauba karta raha, sawaab Yun hi izaafa karte chale Gaye, Duaon mein hath utha kar haq maangta raha, Raahen khud ba khud asaan hoti rahin, Zamane ki numaish se door hota raha, Zindagi bhi haqeeqat Yun hi hoti rahi, Har khushi ka izhaar chupata raha, Gham bhi Yun hi zamane se chupte rahe, Mohabbat bhi ki to izhaar Karne se darta raha, Inkaar ki gunjaish Bhi Yun hi khatm hoti rahi, Sach ki saadgi se ibadat karta raha, Jhoot bhi hairaan hokar Yun hi door hota raha, duniya se mukhtasar khwaishen Kam karta raha, Akhirat bhi Meri Yun hi sukoon se sawarti rahi, Kisi mazloom par hansne ki fitrat chodta raha, madad karne ka hunar bhi Yun paida hota raha, Sabr ki koshishon me izaafa karta raha, nateeje bhi darmyaan ke Yun hi safal hote rahe, Hasad aur jalan ko faani karta raha, Dil me mohabbat bhi Yun hi basar karti rahi, khyaal ko Nazar karke dhoondhta raha, Jahan ki tafseer bhi Yun bayan hoti rahi !! --------------------------------------------

Mohd Nazar Mubeen - sher

Mutmain nahi Hun Abhi mai Meri zaat se, Kyun mjhe mjhse ruswa karne ki baat karte ho, Abhi khaaqa bhi nahi khincha Zindagi basar karne ka, Kyun mjhe meri ummid mein beqaraar karte ho ! --------------------------------------------------------------------- Is majme ki haqeeqat se Kya lena, Yahan ki har shai hi behaal Hai !! Mai soch raha tha mere muqaddar mein aage kya hoga, khwaab tha kabhi jo wo ab yaqeenan haqeeqat hi hoga || --------------------------------------------------------------------- Guzar jaane do ab har lmha ko, waqt kise ke mutabiq nahi hota, Azaad karo har awaargi ko, Safar kisi ki manzil nahi hota, Phisal jaane do ye toote khwaabon ko, Bistar kisi ka gharaunda nahi hota, Jo bhi Jaye use chale jaane do, Koi doosra apna Sahara mahi hota !! --------------------------------------------------------------------- waqt yun tez karwaten badal raha, mai hun ki ab bhi intezaar kar raha, takht par to shahnshah bhi badal gaye, mai ab bhi purane