Skip to main content

Mohd Nazar Mubeen - Nazms

Main gunahon se tauba karta raha,
sawaab Yun hi izaafa karte chale Gaye,

Duaon mein hath utha kar haq maangta raha,
Raahen khud ba khud asaan hoti rahin,

Zamane ki numaish se door hota raha,
Zindagi bhi haqeeqat Yun hi hoti rahi,

Har khushi ka izhaar chupata raha,
Gham bhi Yun hi zamane se chupte rahe,

Mohabbat bhi ki to izhaar Karne se darta raha,
Inkaar ki gunjaish Bhi Yun hi khatm hoti rahi,

Sach ki saadgi se ibadat karta raha,
Jhoot bhi hairaan hokar Yun hi door hota raha,

duniya se mukhtasar khwaishen Kam karta raha,
Akhirat bhi Meri Yun hi sukoon se sawarti rahi,

Kisi mazloom par hansne ki fitrat chodta raha,
madad karne ka hunar bhi Yun paida hota raha,

Sabr ki koshishon me izaafa karta raha,
nateeje bhi darmyaan ke Yun hi safal hote rahe,

Hasad aur jalan ko faani karta raha,
Dil me mohabbat bhi Yun hi basar karti rahi,

khyaal ko Nazar karke dhoondhta raha,
Jahan ki tafseer bhi Yun bayan hoti rahi !!


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Maine ibadat nahi ki kaam ko dhaal maankar,
Kaam me takleef Hui to phir khuda yaad aaya,

namazon ko qaza karke duniya ki ibadaten ki,
Duniya ne jab thukraya phir wahi khuda yaad aaya,

Hashr ke anjaam ko jhutlakar jawaani bitaya,
Jab maut qareeb aayi phir wahi khuda aaya,

nahaq cheezon mein Zindagi ka maza dhoondha,
Jab haq ki baat aayi phir wahi khuda yaad aaya,

mazloomon par zulm karta Raha dozakh se nahi Dara,
Jab khud par zulm hua to phir wahi khuda aaya,

Insaan hokar farishton ko bhi apne aage aala nahi maana,
Shaitan ne jab dhamkaya to phir khuda yaad aaya ,

Chiraghon se raushni Kar Bina shukr jeete rahe hum,
Jab Hawa ne gurraya phir wahi khuda yaad aaya !!


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Waqt ka ye yun tez guzarna,
har Shaam ke dhalne par yaad aata hai !!

zamane ki atishbaazi aur isme sulagte log,
kab ye dhuan chatega aur kab shor kam hoga

Waqif nahi Hun Kal ke haalat se,
apna aaj dekh bs andaaza lagaya hai

Aib ho humme to hum zamane ke Saath,
Nahi hai Kuch to hm zamane ke Baad !!

bade daur aaye tmhe girane ke nazar,
tm wo the jo har bar pahle se bhi tez uthe ||


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Sadiyan bitti hain nakshe mit jaate hain,
tahzeeb aur taaleem bhi badal jaati hai,

Ja aaj hai zaroorrat Roz ki Kal bekar hogi,
Nafs hi hai Jo abaad thi abaad rahegi,

Gunaah ki shuruat bhi ise se kuffare ki intiha bhi,
Ye jism ki maalik hai aur saanson ki ijazat bhi,

Kai pal hain jismen ye shaitan ki bhi himayat Karti,
Kabhi ek Roz khuda see bhi shikayat karti,

Ye mitti me kaid koi mojza hi hai,
Jidhar mud liya wahin ibadat karti ,

Kahin humsayon se mohabbat Karti,
Kahin unhi se khilafat Karti,

Ye nafraton ki paidawaar bhi hai,
aur sulah ki wafadaar bhi hai,

Khanjaron se lekar talwaron Tak,
Isi ki wajah se duniya sharamsaar Bhi hai !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------


koi aur aata to aahat Hoti halki si,
tm aaye to Dabe paanv chale aaye Yun hi,

Mai dooba Tha khwabon mein tmhare hi,
TM aaye to haqeeqat chali aayi jaise,

Mai bikhre lamhon ko sametta hua soya tha,
TM aaye to lamhe simat aaye Yun hi,

tmhari yaad mein bahut Roya tha Mai bhi,
TM aaye to ashq bhi chale aaye Yun hi,

wo Shaam ho ya Sahar wo yaadein nahi bhoolti,
TM aaye to maazi bhi Chala aaya Yun hi,

Ye Dard koi haqeem ki dawa ka ilaaj nahi,
TM aaye to ilaaj bhi chala aaya Yun hi,

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Dar badar ghoom Kar,
faqeer ban jhoom Kar,
Chamak damak tatolkar,
Hawaon ko modkar,
Khwahishen nichod Kar,
Sahar ko sametkar,
Jahan ye Sara dekhkar,
Jahan me Kuch nahi Mila,
Safar me Kuch nahi dikha,
Tadap ne Kuch nahi kaha,
Sabr ne Kuch nahi suna,
ye Zindagi ki daud mein,
Rekha nahi mili koi,
Nahi Mila aasman khula,
Nahi mili zameen Hari,
Nahi Mila parinda koi,
Nahi koi humsafar Mila,
laut Kar nahi koi manzil kahin padi Hui,
Koi nahi aarzoo na koi hasrat kahin khadi Hui!!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kuch chedh Kar phir khamosh ho jaana,
Raaston me mil Kar bhi anjaan ban jaana,

Nigahen bacha Kar phir palat jaana,
Kuch dair ruk Kar phir tahar jaana,

khade hokar na ummidi se phir itrana,
Itra Kar phir chupke se nikal jaana,

Tareef karun ya daad dun hunar ki,
Samajh me aaye to ek baar zaroor bulana !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kuch log hon agar mohabbat se baat karne waale,
hazaron ranjishen hon phir bhi koi gham nahi,

Kuch log hon agar humko samajhne waale,
Hazaron nafraten hon phir bhi koi gham nahi,

Kuch log hon agar ayadat karne waale,
Hazaron zakhm hon phir bhi koi gham nahi,

Kuch log hon agar kabhi haal poochne waale,
Hazaron Dard hon phir bhi koi gham nahi,

Kuch log hon agar raah batlaanee waale,
Hazaron baar bhataken phir bhi koi gham nahi,

Kuch log hon agar zara sa waqt bitaane waale,
Hazaron dafa tanha hon phir bhi koi gham nahi !!


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

aae waqt zara tham ke to chal,
muqaddar zaroor intezaar karega,

ye mehnatkash zindagi hai mushkilon se bhari hui,
koi khairaat me mili daulat to nahi,

aae waqt zara tham ke to chal,
jaldi nahi hai koi... manzil zaroor intezaar karegi,

ye ummid ki zindagi hai hauslon se bhari hui,
kisi faqeer ka khali tokra to nahi,

aae waqt zara tham ke to chal,
shohrat zaroor intezaar karegi,

ye maamoli si zindagi hai mohabbat si bhari hui,
kisi qaatil ke dushmanon ki fehrist to nahi,

aae waqt zara tham ke to chal,
sameen zaroor intezaar karenge,

ye bedaagh zindagi hai apnon se bhari hui,
kisi muflis ki tanhai to nahi,

aae waqt zara tham ke to chal ,
sabr zaroor intezaar karega ||


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Bande ki pareshaniyan khatm ho jayen to,
Banda khud ko khuda samajh leta Hai,

muflisi aur gurbat ke din na dekhen ho to,
Banda khud ko ameer samajh leta Hai,

Hukmaranon ke Ghar paida hua to ,
Banda khud ko Azeem samajh leta hai,

Rutba Diya agar duniya mein khuda ne to,
Khuda ka wajood hi mana Kar Deta hai,

Ye bhatka nahi Hai, na hi koi mazloom Hai,
Iska shaitan Hai ye Jo isko isi se juda Kar Deta Hai !!!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Bahano se tmhe hain log kuchal rahe,
tm nishaniyun se apni jo pahchaan Kara rahe,
Na saboot mangte wo na gawaah bula rahe,
Wahin adalat banakar suli par chadha rahe,

Hain afsaran bhi chup Hain media bhi khamosh,
Na jaane wo kitne desh ke naujawaan mita rahe,
Na mazhab ki baat ki Na imaan poocha unhone,
Bs raahguzar ko nafrat mein jala rahe,

Ye kaun sa ikhlaaq Hai ya kaun si tameez Hai,
Jo sadiyun ke doston ko dushman bana rahe,
Hai anaaj ek aur Hai ek zaroorat,
Na jaane kis aas mein insaniyat mita rahe,

Wo beta Kisi ka ya baap ho Kisi ka,
Wo ek ke qatl mein Kai laash bana rahe,
Bada mushkil daur Hai watan mein mere,
Wo khule hue yun kohraam macha rahe,

Jo baat agar mai ye karunga,
Mjhse log poochenge tm pahle kahan the,
Hue zulm is dharti par bahut mana ye,
Mai pahle ke liye bhi utna hi gamzada hun,

Panap rahi itni dahshat yahan,
Ye baat to Main zaroor karunga,
Kaash ki sukoon ata ho yahan bhi,
Yun Jo ho raha accha to nahi Hai,

Diwali ke diye ho ya Eid ki sewaiyan,
Christmas ka santa ho ya mandir ka pujari,
Masjid ki azaan ho ya gurudwara ki bani,
Sabhi mein rab aur Hai rab ek Hai,

Yun na prerit ho tm nafrat ke sroton se,
Nafrat sikhane waale bhagwaan nahi mante,
Yun itna zahar Jo man me ghol rahe,
Buddhi bhi bharasht kiya Jag bhi bharasht kar rahe !!!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Na dosh do logon ko badal jaane ka,
Unka tajurba tmhare se shayad alag ho,

Jo tareeqa tmhe ab napasand Hai,
Wo tareeqa shayad unhe bhi napasand Ho,

koi tmhara Roz unse milna to Tha nahi,
Wo shayad dheere dheere hi badlen ho,

Tmne mausam dekha Hai badalte hue,
Log bhi shayad aise hi badalte hon,

TM ruk kar zaroor intezaar karte rahe hoge,
Par shayad unhe rukne na Diya gaya ho,

Tm Yun hi tohmat lagane lage kyun,
Poocha hota unse ... shayad unka andaaz alag ho ,

Bewajah koi nahi badalta Yun hi,
Shayad unhe maazi ne badala ho !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------


Kis tarah se TM mujhe dekhoge ,
Mere Bahar ke dikhawe se,
Ya mere andar ki shaksiyat se,

kis tarah se tm mjhe mahsoos karoge,
Mere tmhare pass rahne se,
Ya Mera tmhare khyaal me rahne se,

Kis tarah se TM mjhe awaaz Doge,
apni khushiyon ko khilkhila kar,
Ya apne Gam mjhse chupakar,

Kis tarah se TM Mera zikr karoge,
Meri acchaiyan sabme sunakar ,
Ya meri buraiyon par parde daalkar,

Kis tarah se TM mjhe yaad rakhoge,
Mere Saath waqt bitakar,
Ya mere Saath duriyan banakar !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Agar Zindagi ek baar me imtihan leti,
to kitna accha hota,

Agar ye ek bar me Rasta batla deti ,
To kitna accha hota,

Agar ye har bar Naya mod na leti,
To kitna accha hota,

Agar ye kabhi tahar kar baat Karti,
To kitna accha hota,

Agar ye manzilen khud Tay Karti ,
To kitna accha hota,

Agar ye Dil se dosti Karti,
To kitna accha hota,

Agar ye bewajah sawal na Karti,
To kitna accha hota,

Agar ye mjhse anjaan na Hoti,
To kitna accha hota !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------


Lamhe Yun hi nikal jaate hain,

Na tasavvur hota hai,
Na intezaar khatam hota hai,

Na armaan pighalte hain,
Na ahsaas kam hota hai,

Na aas chhotti hai,
Na aag bhujti hai,

Na khwab pure hote hain,
Na taameer samajh aati hai,

Na alfaaz pure hote hain,
Na ishaare samajh aate hain,

Na Umar jawaan Hoti hai,
Na bhudhapa Kareeb aata hai,

Na do pal sukoon ka hota hai,
Na char din mushkil se katte hain,

Na andhera hi dikhta hai,
Na ujala Roshan hai,

Ye Kya hai Duniya BHI,
Na jeeti hai na jeene deti hai !!

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kuch to hum na samajh sake ,
Kuch ko samajhne ki wajah na Mili,

Kuch yun hi guzar gaya,
Kuch hum guzaarte chale Gaye,

Kuch Nazar mein na chup Saka,
Kuch ko Nazar na Mili chupne ko,

Kuch humne dair kar di Kisi wajah mein ,
Kuch dair yun hi ho gayi bewajah se,

Kuch hum na kah sake,
Kuch kah kar phir chup ho gaye,

Kuch to kahin na dadhak Saka,
Kuch dadhak kar jhijhak gaya,

Kuch Matlab bhare lafz adhoore rah gaye,
Kuch pure ke pure lafz be Matlab ke ho gaye,





Comments

  1. Slingo Online | Slot Games | TCS Casino
    In this page 1xbet korean you can find information on the games and the 바카라 Slingo game in full. Slingo Casino, you can find the latest septcasino Slingo game news, as well as everything related to

    ReplyDelete
  2. Oasis Casino Resort Sørett - Jordan2retro
    Oasis how can i get air jordan 18 retro red is where to find air jordan 18 retro yellow suede a casino hotel air jordan 18 retro red from my site located on the Sørett River near the town of Hedlend, the first casino air jordan 18 retro red free shipping in Scandinavia. Its official replica air jordan 18 retro men red website is now open.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mohd Nazar Mubeen - sher

Mutmain nahi Hun Abhi mai Meri zaat se, Kyun mjhe mjhse ruswa karne ki baat karte ho, Abhi khaaqa bhi nahi khincha Zindagi basar karne ka, Kyun mjhe meri ummid mein beqaraar karte ho ! --------------------------------------------------------------------- Is majme ki haqeeqat se Kya lena, Yahan ki har shai hi behaal Hai !! Mai soch raha tha mere muqaddar mein aage kya hoga, khwaab tha kabhi jo wo ab yaqeenan haqeeqat hi hoga || --------------------------------------------------------------------- Guzar jaane do ab har lmha ko, waqt kise ke mutabiq nahi hota, Azaad karo har awaargi ko, Safar kisi ki manzil nahi hota, Phisal jaane do ye toote khwaabon ko, Bistar kisi ka gharaunda nahi hota, Jo bhi Jaye use chale jaane do, Koi doosra apna Sahara mahi hota !! --------------------------------------------------------------------- waqt yun tez karwaten badal raha, mai hun ki ab bhi intezaar kar raha, takht par to shahnshah bhi badal gaye, mai ab bhi purane ...

Mohd Nazar Mubeen - sher two liners

Is Qalam se Kya inquilab aaiga, Ye naqqashi ke wazan se daba hua hai !! Ye log hi logon ke dushman ban Gaye, Sahi galat ki hod me ye dost saare mit rahe !! Bahut chale kisse sharafat ke humaare, Ab kuch aaeb hain to ye bhi qubool Karle Jahan ye !! In imaarton se haseen to woh galiyan thi, tang thi par kiraaye ki nahi woh apni thi Kyu badnaam karte ho topi aur tilak ko, Jab saja rakkhi hai Dil mein nafrat ko, Koi mit Gaya tmhe milte hue dekhne ko, Zara yaad Karo us ahinsa ke #Gandhi ko !! Ye Chand Roz Jo Safar ke hain bade jaddojahad ke hain, samaan Kam aur khwaab Kai ye roz bade gajab ke hain !! Mai jugnuo ki mannind din ki jagmagahat mein Nazar nahi aaya, Raat hui to zamana khud mjhe dhoondhta Chala aaya !! Kuch mukhtasar si baat Hui aur neend gayi khwaab Gaye, Kuch aur jo guftgu hui to phir hasti gayi aur haal Gaye !! Hijaab utaara to utaara chalo kuch nahi hua, Bs haya sharam ne Bhi ab parda kar liya !! Zindagi ne peshani par saja rakkhi hain boo...